koi pehchaan hi baaqi nahi veerano ki
ab to shehro se khabar aati hai deewano ki
koi pehchan hi baqi nahi veerano ki
apni poshak se hushyaar ki khuddam e qadeem
dhajjiyan mangte hein apne girebano ki
sanate phailti jati hein magar es ke saath
sarhaden toot'ti jati hein gulistano ki
dil mein wo zakhm khile hein ke chaman kyaa shai hai
ghar mein baarat si utrii hui gul-danon ki
un ko kya fikr ke main paar laga yaa dooba
behas karte rahe sahil pe jo toofano ki
teri rehmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijli ko khabar deta hai kashano ki
maqbare bante hein zindon ke makano se buland
kis qadar auj pe takreem hai insano ki
ek ek yaad ke haatho pe charaghon bharey tasht
kaaba e dil ki fazaa hai ke sanam khano ki