Beautiful Poetry by Mirza Ghalib
Ghazal
ye na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota
ye na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeetey rehte yehi intezaar hota
terey wadey per jiye hum, tou ye jaan, jhoot jana
ke khushi se mar na jatey agar aetebaar hota
teri nazuki se jana ke bandha tha ehd-e-booda
kabhi tu naa torr sakta,agar ustawaar hota
koi merey dil se puchey terey teer-e-neem kash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
ye kahan ki dosti hai ke baney hen dost naseh
koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota
rag-e-sang se tapakta wo lahu ke phir na thamta
jisey gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota
gham agarchey jaan gusal ha, pa bacheen kahan ke dil se
gham-e-ishq agar na hota, gham-e- rozgaar hota
kahun kis se me ke kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna, agar ek baar hota
huey mar ke ham jo ruswa, huey kyun na gharq-e-darya
na kabhi janaza uthtaa, na kahin mazaar hota
usey kon dekh sakta ke yagana hai wo yakta
jo doooi ki buu bhi hoti tou kahin do chaar hota
ye masaail-e-tasawwaf, ye tera bayan-e-Ghalib
tujhe ham Wali samajhtey jo na baada khwaar hota
No comments:
Post a Comment