Saturday, August 24, 2013

laazim tha ke dekho mera rasta koi din aur

Mirza Ghalib Ki Ghazal

tanha gaey kyun, ab raho tanha koi din aur

Laazim tha ke dekho mera rasta koi din aur
tanha gaey kyun, ab raho tanha koi din aur

mitt jaey ga sar, gar tera pathar na ghisey ga
hun dar pe tery nasia farsa koi din aur

aey ho kal, aur aaj oi kehtey ho ke jaon
mana ke hamesha nhin, acha, koi din aur

jatey huey kehte ho qayamat ko milen ge
kya khoob! qayamat ka hai goya koi din aur

haan aey falak peer, jawan tha abhi Arif
kya tera bigarta jo na marta koi din aur

tum maah-e-shabe char dahum they mery ghar ke
phr kyun na rahe ghar ka wo naqsha koi din aur

tum kon sey they aise kharey dad o sitad ke
karta mulk ul mot taqaza koi din aur

mujh sey tumhein nafrat sahi, Nayyar sey larai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur

guzri na, bahar haal, ye muddat khush wa nakhush
karna tha jawan marg! guzaara koi din aur

nadaan ho jo kehte ho ke kyun jeetey hein Ghalib
qismat me hai marney ki tamanna koi din aur

(Mirza Ghalib)

No comments:

Post a Comment