Bichar ke mujh se kabhi tuu ne ye bhi sochaa hai
Bichar ke mujh se kabhi tuu ne ye bhi sochaa hai
adhura chaand bhi kitna udaas lagtaa hai
ye vasl kaa lamha hai ise raaygaan na samajh
ke is ke baad vohi duriyon kaa saharaa hai
kuchh aur dair na jhartaa udasiyon ka shajar
kise khabar tere saaye men kaun baithaa hai
ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa gaii us ko
wo ruuth kar bhi mujhe muskuraa ke milta hai
main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijakti hai
teraa badan hai ke ye aainoon kaa dariyaa hai
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samajh k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hein apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se
taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai
anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
dushman k iradon ko hai zahir agar karna
tum khel wohi khelo andaz badal dalo
aye dost karo himat kuch door sawera hai
agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo
No comments:
Post a Comment