decent urdu poetry of great poets, ghazals, nazam
A good source of decent urdu poetry for all of you. You will find here nice and authentic urdu poetry of renowned poets. It has been tried to add error free and genuine famous ghazals, nazams and poetry of the poets.
Labels
Sunday, May 20, 2018
Angrai per Angrai leti hai raat judaai ki
Angrai per Angrai leti hai raat judaai ki
Tm kya samjho tm kya jano baat meri tanhaai ki
Kon syahi ghol raha tha waqt ke behtey daryaa mein
mein ney aankh jhuki dekhi ha aaj kisi harjaai ki
Toot gaey sayaal nageeney, phoot bahey rukhsaaron per
dekho mera saath na dena baat hai ye ruswaai ki
wasl ki raat na janey kyun israar tha en ko jaaney per
waqt se pehle doob gaye taaron ney bari danaai ki
urtey urtey aas ka panchi door ufaq me doob gaya
rotey rotey beth gai awaaz kisi sodaai ki
(Qateel Shifai)
Saturday, November 25, 2017
kya khazaney meri jaan hijr ki shab yaad aye
kya khazaney meri jaan hijr ki shab yaad aeyetera chehra, teri ankhein, tery lab yaad aeye
kya khazaney meri jaan hijr ki shab yaad aeyetera chehra, teri ankhein, tery lab yaad aeyeek tuu tha jisey ghurbat mein pukara dil neywarna bichrey huey ahbaab tou sab yaad aeyham ney maazi ki sakhawat pe jo pal bhar sochadukh bhi kya kya hamein yaaron ke sabab yaad aeyphool khilney ka jo mosam mery dil mein utratery bakhshey huey kuch zakhm ajab yaad aeyab tou aankhon mein faqat dhool ha kuch yaadon kihum usey yaad bhi aey hen tou kab yaad aeybhool janey mein wo zalim ha bala ka mahiryaad aaney pe bhi aey, tou ghazab yaad aeyye khunk rutt, ye nae saal ka pehla lamha!dil ki khwahish hai ke, mohsin, koi abb yaad aey
کیا خزانے مری جاں ہجر کی شب یاد آئےتیرا چہرہ، تیری انکھیں، تیرے لب یاد آئےایک تو تھا جسے غرب میں پکارا دل نےورنہ، بچھڑے ہوئے احباب تو سب یاد آئےہم نے ماضی کی سخاوت پہ جو پل بھر سوچادکھ بھی کیا کیا ہمیں یاروں کے سبب یاد آئےپھول کھلنے کا جو موسم میرے دل میں اتراتیرے بخشے ہوئے کچھ زخم عجب، یاد آئےاب تو آنکھوں میں فقط دھول ہے کچھ یادوں کیہم اُسے یاد بھی آئے ہیں تو کب یاد آئےبھول جانے میں وہ ظالم ہے بلا کا ماہریاد آنے پہ بھی آئے، تو غضب یاد آئےیہ خنک رُت، یہ نئے سال کا پہلا لمحہ!دل کی خواہش ہے کہ، محسن،کوئی اب یاد آئے(محسن نقوی)
zikr-e-shab-e-firaq sey wehshat usey bhi thi
Zikr e shab e firaq sey wehshat usey bhi thi
meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi
Zikr e shab e firaq sey wehshat usey bhi thi
meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi
mujh ko bhi shoq tha nae chehron ki deed ka
rasta badal ke chalney ki aadat usey bhi thi
uss raat der tak wo raha meh w guftugu
masroof mein bhi kam tha faraghat usey bhi thi
mujh se bicharr ke sheher me ghul mil gaya wo shakhs
halan k shaher bhar se adawat usey bhi thi
wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna her ek saans qayamat usey bhi thi
sun'ta tha wo bhi sab sey purani kahanyan
shayad rafaqaton ki zarurat usey bhi thi
tanha hua safar mein tou mujh pe khula ye bhaid
saaey sey pyar dhoop sey nafrat usey bhi thi
mohsin mein uss sey keh na saka yun bhi haal e dil
darpesh ek taza museebat usey bhi thi
meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi
mujh ko bhi shoq tha nae chehron ki deed ka
rasta badal ke chalney ki aadat usey bhi thi
uss raat der tak wo raha meh w guftugu
masroof mein bhi kam tha faraghat usey bhi thi
mujh se bicharr ke sheher me ghul mil gaya wo shakhs
halan k shaher bhar se adawat usey bhi thi
wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna her ek saans qayamat usey bhi thi
sun'ta tha wo bhi sab sey purani kahanyan
shayad rafaqaton ki zarurat usey bhi thi
tanha hua safar mein tou mujh pe khula ye bhaid
saaey sey pyar dhoop sey nafrat usey bhi thi
mohsin mein uss sey keh na saka yun bhi haal e dil
darpesh ek taza museebat usey bhi thi
ذکر شب فراق سے وحشت اسے بھی تھی
میری طرح کسی سے محبت اسے بھی تھی
مجھ کو بھی شوق تھا نئے چہروں کی دید کا
رستہ بدل کے چلنے کی عادت اسے بھی تھی
اس رات دیر تک وہ رھا محو گفتگو
مصروف میں بھی کم تھا فراغت اسے بھی تھی
مجھ سے بچھڑ کے شہر میں گھل مل گیا وہ شخص
حالانکہ شہر بھر سے عداوت اسے بھی تھی
وہ مجھ سے بڑھ کے ضبط کا عادی تھا جی گیا
ورنہ ہر ایک سانس قیامت اسے بھی تھی
سنتا تھا وہ بھی سب سے پرانی کہانیاں
شاید رفاقتوں کی ضرورت اسے بھی تھی
تنہا ہوا سفر میں تو مجھ پہ کھلا یہ بھید
سائے سے پیار دھوپ سے نفرت اسے بھی تھی
محسن میں اس سے کہہ نہ سکا یوں بھی حال دل
درپیش ایک تازہ مصیبت اسے بھی تھی
(محسن نقوی)
Wednesday, September 28, 2016
HAM TOU KHUSH THEY KE CHALO DIL KA JUNOON KUCH KAM HAI
Hum tou khush they ke chalo dil ka junoon kuch kam hai
ab jo araam bohat hai tou sukoon kuch kam hai
Hum tou khush they ke chalo dil ka junoon kuch kam hai
ab jo araam bohat hai tou sukoon kuch kam hai
rang e girya ney dikhai nahim agli see bahar
ab ke lagta hai ke amezish e khoon kuch kam hai
ab tera hijr musalsal hai tou ye bhed khula
gham e dil se gham e dunya ka fusoon kuch kam hai
us ney dukh saarey zamaney ka mujhe bakhsh diya
phir bhi lalach ka taqaza hai kahun kuch kam hai
raah e dunya sey nahin dil ki guzargah sey aa
fasla garchey ziyada hai pe yun kuch kam hai
tuu ney dekha hi nahi mujh ko bhaley waqton me
ye kharabi ke mein jis haal me hun kuch kam hai
Thursday, November 27, 2014
kaam angrez ko dunya se mujhe deen se hai
uss key qanoon ki takkar mere aa'een se hai
kam angrez ko dunya se mujhe deen se hai
uss ke qanoon ki takkar mere aa'een se hai
khoon e islam se gulrang hua hoza e aqdas
khabar urti hui aai ye falasteen se hai
seena touheed ke betey ka mushbak hai agar
tou wo taslees ke farzand ki sangeen sey hai
jis se gulrang hua masjid e lahore ka sehan
nisbat uss khoon ko meri hi shara'een se hai
kab daba sakti hai uss nara ko toupon ki garaj
jo buland aaj maraqish se tou kal cheen se hai
(Molana Zafar Ali Khan)
hai justuju ke khoob sey hai khoob tar kahan
ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan
hai justuju ke khoob se hai khoob tar kahan
ab theherti hai dekhye ja kar nazar kahan
hein dor jaam awal shab mein khudi sey door
hoti hai aaj dekhye ham ko sahar kahan
ya rab es ikhtalat ka anjam ho bakhair
tha es ko hum sey rabt magar es qadar kahan
ek umr chahye ke gawara ho naish ishq
rakhi hai aaj lazzat zakham jigar kahan
bas ho chuka bayan kasl o ranj raah ka
khat ka mere jawab hai aye nama bar kahan
kon o makan sey hai dil e wehshi kinara geer
as khanama kharab ney dhoonda hai ghar kahan
(Altaf Hussain Hali)
Subscribe to:
Posts (Atom)