Saturday, November 25, 2017

zikr-e-shab-e-firaq sey wehshat usey bhi thi

Zikr e shab e firaq sey wehshat usey bhi thi
meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi

Zikr e shab e firaq sey wehshat usey bhi thi
meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi
mujh ko bhi shoq tha nae chehron ki deed ka
rasta badal ke chalney ki aadat usey bhi thi
uss raat der tak wo raha meh w guftugu
masroof mein bhi kam tha faraghat usey bhi thi
mujh se bicharr ke sheher me ghul mil gaya wo shakhs
halan k shaher bhar se adawat usey bhi thi
wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna her ek saans qayamat usey bhi thi
sun'ta tha wo bhi sab sey purani kahanyan
shayad rafaqaton ki zarurat usey bhi thi
tanha hua safar mein tou mujh pe khula ye bhaid
saaey sey pyar dhoop sey nafrat usey bhi thi
mohsin mein uss sey keh na saka yun bhi haal e dil
darpesh ek taza museebat usey bhi thi

ذکر شب فراق سے وحشت اسے بھی تھی
میری طرح کسی سے محبت اسے بھی تھی
مجھ کو بھی شوق تھا نئے چہروں کی دید کا
رستہ بدل کے چلنے کی عادت اسے بھی تھی
اس رات دیر تک وہ رھا محو گفتگو
مصروف میں بھی کم تھا فراغت اسے بھی تھی
مجھ سے بچھڑ کے شہر میں گھل مل گیا وہ شخص
حالانکہ شہر بھر سے عداوت اسے بھی تھی
وہ مجھ سے بڑھ کے ضبط کا عادی تھا جی گیا
ورنہ ہر ایک سانس قیامت اسے بھی تھی
سنتا تھا وہ بھی سب سے پرانی کہانیاں
شاید رفاقتوں کی ضرورت اسے بھی تھی
تنہا ہوا سفر میں تو مجھ پہ کھلا یہ بھید
سائے سے پیار دھوپ سے نفرت اسے بھی تھی
محسن میں اس سے کہہ نہ سکا یوں بھی حال دل
درپیش ایک تازہ مصیبت اسے بھی تھی
(محسن نقوی)

No comments:

Post a Comment