Monday, May 13, 2013

sitaron sey bharey es aasman ki wusaton mein


sitaron sey bharey es aasman ki wus'aton mein
mujhe apna sitara dhoondna hai
falak per kehkashan dar kehkashan ek be karani hai
na es ka naam hai maloom na ko ye nishani hai
bas itna yaad hai mujh ko
azal ki subho jab sarey sitarey
alwidai guftugu karte huey raston pe nikley they
tou uss ki ankh me ek aur sitara jhilmilaya tha
usi taarey ki surat ka
meri bheegi hui ankho me bhi ek khwab rehta hai
me apney aansu'on me apney khwabon ko sajata hun
aur uss ki raah takta hun
suna hai gumshuda cheezen
jahan pe khoi jati hain, wahin se mil bhi jati hain

(Amjad Islam Amjad)

No comments:

Post a Comment