Sunday, May 12, 2013

mohabbatein jab shumar krna tou sazishein bhi shumar karna

mohabbatein jab shumar krna tou sazishein bhi shumar karna


mohabbatein jab bhi shumar karna tou sazishein bhi shumar karna
jo merey hissey me aaii hein wo aziyyatein bhi shumar karna

jalaey rakhun gi subah tak me tumharey raston me apni aankhein
magar kahin zabt toot jaey tou barishein bhi shumar krna

jo harf loh-e-wafa pe likhey huey hen in ko bhi dekh lena
jo raegaan ho gaeen wo sari ibaratein bhi shumar krna

ye sardyon ka udas mosam ki dharkanein barf ho gai hein
jab in ki yakhbastagi parakhna, tamazatein bhi shumar krna

tum apni majburyon ke qissey zarur likhna wazahaton sey
jo meri ankhon me jal bujhi hein wo khwahishein bhi shumar krna

(Noshi Gilani)

No comments:

Post a Comment