Thursday, May 16, 2013

mujh se pehli si mohabbt mere mehboob na mang

mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na mang

me ne samjha tha ke tu hai tou darakhshan hai hayat
tera gham hai tou gham-e-deher ka jhagra kya hai
teri soorat se hai aalam me baharon ko sabat
teri ankho ke siwa dunya me rakha kya hai?
tu jo mil jaey tou taqdeer nigun ho jaey
yun na tha, me ne faqat chaha tha yun ho jaey
aur bhi dukh hein zamaney me mohabbat ke siwa
rahatein aur bhi hein wasal ki rahat ke siwa

an ginat sadyon ke tareek baheemana tilism
resham o atlas o kamkhab me bunwaey huey
jabaja biktey huey koocha o bazar me jism
khak me lithrey hue khoon me nehlaey huey

laut jati hai idher ko bhi nazar kya kijye
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kijye
aur bhi dukh hein zamaney me mohabbat ke siwa
rahatein aur bhi hein wasl ki rahat ke siwa

mujh se pehli si mohabbt mere mehboob na mang

No comments:

Post a Comment