Wednesday, May 15, 2013

sham sheher bol mein shammey jala deta hai tuu

shaam sheher bol me shammey jala deta hai tu

shaam sheher bol me shammey jala deta hai tuu
yaad aa kr es nagar me hosla deta hai tu

aarzoo deta hai dil ko, mot ki, waqt dua
meri sari khwahisho ka ye sila deta hai tu

hadd se barrh kar sabz ho jata hai rang zameen
khak me es naqsh rangeen ko mila deta hai tu

tez karta hai safar me moj e gham ki yorishein
bujhtey jatey shola dil ko hawa deta hai tu

maand parr jati hai jab ashjar per har roshni
ghup andhery jangalon me rasta deta hai tu

der tak rakhta hai tu arzo sama ko muntazir
phir inhi weerano me gull khila deta hai tu

jis taraf se tu guzar jata hai aey jaan e jahan
door tak ek khwab ka manzar bana deta hai tu

aey Munir es raat ko aflak per hona tera
ek haqeeqat ko fasana sa bana deta hai tu
(Munir Niazi)

No comments:

Post a Comment