Monday, May 13, 2013

jo utar ke zeena shaam sey teri chashm e khush me sama gaey

jo uter ke zeena shaam sey


jo uter ke zeena sham sey teri chashm-e-khush me sama gaey
wohi jaltey bujhtey charagh sey mery bam-o-dar ko saja gaey

ye ajeeb khel hai pyaar ka, me ne aap dekha ye mojaza
wo jo lafz mere guman me thy, wo teri zuban per aa gaey

wo jo geet tum ne suna nahi, meri umr bhar ka ryaz tha
mere dard ki thi wo dastan, jisey tum hansi me ura gaey

wo charagh-e-jan kabhi jis ki lou, no kisi hawa se niguun hui
teri bewafai ke waswasey esy chupke chupke bujha gaey

wo tha chand sham-e-wisal ka, ke tha roop tery jamal ka
meri rooh se meri ankh tak kisi roshni me naha gaey

teri berukhi ke dayar me, me hawa ke sath hawa hua
terey aainey ki talash me mery khwab chehra ganwa gaey

terey waswason ke fishar me, tera shehre rang ujar gaya
meri khwahisho ke ghubar me mery mah o sal wafa gaey

wo ajeeb phool se lafz they, terey hont jin se mehak uthey
merey dasht e khwab me door tak koi bagh jaisey laga gaey

meri umr se na simat sakey, merey dil me itney sawal they
terey pas jitney jawab they, teri ek nigah me aa gaey

(Amjad Islam Amjad)

No comments:

Post a Comment